"Doast... kya tumhe lagta hai ki tum akele ho? Kya tumhe lagta hai ki tumhara dil toot gaya hai aur ab sab khatam ho gaya? Yaad rakhna, Naruto ko bhi pure gaon ne thukraya tha. Wo bhi raaton ko akela roya tha. Par usne apne dard ko apni kamzori nahi, apni sabse badi taqat banaya. Agar aaj tum gire ho, toh ye haar nahi hai. Ye tumhare 'Hokage' banne ki shuruat hai. Utho, apne aansu ponchho... kyunki asli ninja wahi hai jo kabhi haar nahi maanta. Yehi mera Ninja Way hai